Sabr, Patience
Copyright © SHRAVANI MUKHERJEE
Sabr ki bhi ek had hoti hai Saahil
Kitna kare jo phir bhi kam hai
Imtihaan hai ye mushkil
Kya pata laapata kyun mann hai
Ab be-intehaan ek junoon hai bas
Koshish aur waqt phir se na ho zaaya
Kuch aur naye alfaazon ke khonj mein
Is phakira ne phir se rukhh hai badla
Na chaah rahi koi saath ki ab khudi taaqat hai banna
Aur akele hi safar taye hai karna!
Couplet 4:
Etemaad humein unke bewafayi pe
Kare bhi to kya karein, dil-e-nadaan
Aakhir ishq hai unke inhi berookhiyon se
No comments:
Post a Comment